Sunday, August 02, 2009
Aisi meri duniya
Soya nahi hu kai raaton se,
patthar se pad gaye hai jaise aankhon me,
jaane ye kaun jagah hai,
jo kambhakht na to jeene deti hai aur naa hi marne.
Kehte hai ki ek nahi duniya hai us pahad ke aage,
jo paar kar paaya wo hi to aaj ka Sikandar hai.
Par kaha hai wo duniya? Kin aankhon se dekhu wo duniya?
Jin aankhon par patthar pad gaye ho use to sab kuch kaala sa nazar aata hai!
Kaid si lagti hai mujhe ye jagah!
maano jaise kisi sher ko band kar diya ho kisi Wild Life Sanctuary me.
kehne ko to bahut jagah hai,
par dahado to apne hi kaano tak pahuch paati hai apni ye dahad.
Ab to jeena sa bhool gaya hu main,
jaane kiske liye jee raha hu, jaane kiske liye marna chahta hu!
Nahi dekhni hai mujhe wo duniya jo aise junglon ke paar basi hai,
par dekhna chahta hu to wo suraj jo roz subah nikalta hai,
aur ye kehta hai ki aaj ek naya din hai,
aaj ek nahi subah hai,
jeele bande tu jeele, kal ke liye na sahi tu aaj ke liye hi jee le!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment